Sep 08 2012
Masroof
Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye fone par
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut se kaam hain
iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya
tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon
tum jo ho mash’hoor tou mein bhi buhut maroof hoo
tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon
jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi
mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain
meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey
rat’jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey
mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi
uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya……